Kyun Aashna-e-gham Dil-e-wahshat-asar Nahin
kyun aashna-e-gham dil-e-wahshat-asar nahin
manus-e-iltifat wo zalim agar nahin
main hun talash-e-rah-e-mohabbat hai dasht hai
saya nahin nishan nahin ham-safar nahin
phir rah-rau se leta hun manzil ka kuchh suragh
sab rahbar hain mere koi rahbar nahin
phir andalib-e-zar ne tinke uTha liye
shayad chaman ujaDne ki is ko KHabar nahin
main aur jam-o-naghma-o-mutrib se wasta
KHush hun ki mera bazm-e-tarab mein guzar nahin
kyun jal na jae tab-e-ruKH-e-yar dekh kar
dil hai ye koi chashm-e-haqiqat-nigar nahin
auraq-e-do-jahan pe jo tahrir ho sake
itna mera fasana-e-gham muKHtasar nahin
zabt-e-junun ne Dhai hain dil ki imaraten
ab is dayar mein koi diwar-o-dar nahin
dil ko supurd karte hain apna payam-e-jaan
ye mo'tabar nahin to koi mo'tabar nahin
paiwast hon na jis mein zamane ke dil 'jigar'
kuchh aur hai wo aap ka tir-e-nazar nahin
kaisi dua kahan ka asar kis ka muddaa
kuchh aag ke siwa mere dil mein 'jigar' nahin
(810) Peoples Rate This