Kisi Ne Chehre Pe Bikhra Liya Tha Zulfon Ko
kisi ne chehre pe bikhra liya tha zulfon ko
zara si baat thi bas le uDe hain diwane
ye phul khilte hain gulzar mein ki parde se
baDha ke hath koi de raha hai paimane
hui hai bais-e-tughyan-e-ishq garmi-e-husn
jale na shama to kyun ghir ke aaen parwane
jahan jin se tha ek bazm na-o-nosh tamam
kahan wo baada-gusar ab kahan wo maiKHane
jo aql wale hain chalte hain apni apni rah
sab ek rawish pe chale ja rahe hain diwane
nahin hai farq koi nur aur zulmat mein
hawas gum hain wo palTa liya hai duniya ne
chamak uThen to mah-o-mahr ko bhi kar den mand
wo zarre god mein apni liye hain virane
kisi ke tir lage sine mein KHuda na kare
hamare dil mein hai kya dard koi kya jaane
hamare waste saqi piyala-o-KHum ek
chhalak chalen jo wo hote hain aur paimane
KHuda samajhne se aaKHir bacha liya mujh ko
hazar shukr mere aib tum ne pahchane
hai dil mein aag to aankhon mein lala-zar 'jigar'
nigah-e-naz ke andaz koi kya jaane
(841) Peoples Rate This