KHuda Ki Shan Wo KHud Ho Rahe Hain Diwane
KHuda ki shan wo KHud ho rahe hain diwane
jo rah-e-dasht se aae the hum ko palTane
nikal chale to hain targhib-e-dil pe hum ghar se
kahan lagenge Thikane ye ab KHuda jaane
na dil raha na rahi dil ki KHak bhi baqi
huzur aae hain ab intizar farmane
jo dil ki aag se waqif banen wo kya jaane
lipaT ke shama se kyun jal rahe hain parwane
nigah jin ko mili hai wo lutf lete hain
chhalak rahe hain paDe kaifiyat se virane
nahin hai sine mein paiwast jis ke tir-e-nigah
wo rah-o-rasm hayat-o-mamat kya jaane
chale to hain ki dikhaenge un ko chir ke dil
pahunch sakenge hum un tak ye ab KHuda jaane
ghaTe to chain nahin hai baDhe to chain nahin
hamein laga hai ye kya rog koi pahchane
hai sar pe bojh to kya hai magar baDhe niklo
na uTh sakoge jo baiThe zara bhi sustane
tamam umr hui ek hi rawish pe 'jigar'
hazar bar hamein aazmaya duniya ne
(862) Peoples Rate This