Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e61909300f3e5f08f317a2d1d557aa49, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gham Sahte Sahte Muddat Tak Aisi Bhi Haalat Hoti Hai - Jigar Barelvi Poetry In English - Darsaal

Gham Sahte Sahte Muddat Tak Aisi Bhi Haalat Hoti Hai

gham sahte sahte muddat tak aisi bhi haalat hoti hai

aankhon mein ashk umaDte hain rone se nafrat hoti hai

jab raat ka sannaTa hota hai dil mein KHalwat hoti hai

tum chandni jaise chhiTka do aisi kaifiyyat hoti hai

aalam par jaise chhae hon mahbub ki god mein aae hon

ab dil ki mohabbat mein aksar aisi mahwiyyat hoti hai

jab hasrat-o-arman miT jaen kuchh aas na ho kuchh yas na ho

jab maut ki nind aae dil ko bedar mohabbat hoti hai

jab ranj zamana deta hai hum maut ko dawat dete hain

phir tum kyun yaad aa jate ho jine ko tabiat hoti hai

meraj-e-junun ke raste mein aisa bhi maqam ek aata hai

hum hosh mein hote hain lekin apne se bhi wahshat hoti hai

be-dad ki bhi us zalim ko wo pyari adaen aati hain

mar mar ke jiye jaane ko 'jigar' afsos tabiat hoti hai

(800) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Sahte Sahte Muddat Tak Aisi Bhi Haalat Hoti Hai In English By Famous Poet Jigar Barelvi. Gham Sahte Sahte Muddat Tak Aisi Bhi Haalat Hoti Hai is written by Jigar Barelvi. Read famous Poem Gham Sahte Sahte Muddat Tak Aisi Bhi Haalat Hoti Hai for youth and Student by Jigar Barelvi. Free Download Gham Sahte Sahte Muddat Tak Aisi Bhi Haalat Hoti Hai in PDF.