Dil Na Diwana Ho Ye Usko Gawara Bhi Nahin
dil na diwana ho ye us ko gawara bhi nahin
chaak daman-o-gireban hon ye ima bhi nahin
hum liye jaenge kuchh us ka bharosa bhi nahin
jaan de den ye mohabbat ka taqaza bhi nahin
be-niyaz aap se ho jaen ye hota bhi nahin
dil hi jab dekhte hain koi tamanna bhi nahin
jaan be-tab si rahti hai ki ho jae nisar
aankh bhar kar abhi hum ne use dekha bhi nahin
zaKHm baDhta bhi nahin faisla jis se ho jae
tir wo dil mein laga hai ki nikalta bhi nahin
be-hijabi bhi nahin wo ki jo hosh uD jaen
hosh rah jaen Thikane hi dar-parda bhi nahin
chain paDta hi nahin hai kisi karwaT hum ko
KHar sine mein chhupa hun koi aisa bhi nahin
phir bhi dil hai ki usi par hue jata hai nisar
aankh uTha kar kabhi jis ne hamein dekha bhi nahin
zarre zarre pe bahaar aa gai dil mein bhi bahaar
jazba-e-shauq hamara abhi bhaDka bhi nahin
panw rakhte bhi nahin aap baDhe jate hain
hum ko us kuche ka sauda ho to sauda bhi nahin
lutf hota to yahi tha ki na hote barbaad
hum jo barbaad hue to koi shikwa bhi nahin
shikwa-e-jaur to karte hain magar sach to ye hai
lutf hum par ho 'jigar' hum ne ye chaha bhi nahin
(820) Peoples Rate This