Be-khabar-e-hayat Tha Gham Ne Mujhe Jaga Diya
be-khabar-e-hayat tha gham ne mujhe jaga diya
zist ka raaz khol kar maut ka aasra diya
zulf-e-siyah ki yaad mein KHauf-e-pas-e-fana kahan
tul-e-shab-e-firaq ne subh ka gham miTa diya
maut kahin nahin hamein aur kahan nahin hai maut
kis ne bana ke saKHt-jaan sine mein dil bana diya
talKH to tha gham-e-hayat itna na talKH tha magar
puchh ke tum ne haal-e-dil zahr mujhe pila diya
aa ke palaT gaya koi aur na hamein KHabar hui
kaif-e-ummid-e-did ne sham hi se sula diya
gham-kada-e-hayat mein aah main wo charagh hun
subh hui jala diya sham hui bujha diya
hae wo dard kya hua jis se thi zindagi meri
KHud hi miTa nahin hai dil dil ne mujhe miTa diya
haif ki be-kasi ki sharm aaj 'jigar' na rah saki
ujDe hue mazar par kis ne diya jala diya
(879) Peoples Rate This