Abhi Diwangi Mein Kuchh Kami Mahsus Hoti Hai
abhi diwangi mein kuchh kami mahsus hoti hai
abhi ai shiddat-e-gham zindagi mahsus hoti hai
abhi mujh mein koi shai aur bhi mahsus hoti hai
abhi idrak-e-wahdat mein kami mahsus hoti hai
na jaane zaKHm-e-dil ki aaj gahrai kahan pahunchi
phaTa jata hai sina wo KHushi mahsus hoti hai
samaya jata hai jaise koi rag rag mein dil ban kar
yunhi gham mein koi shai aur bhi mahsus hoti hai
shab-e-tarik hai virana hai mahwiyyat-e-gham hai
ajab aalam mein qurbat aap ki mahsus hoti hai
azal se maut ne ab tak kai qalib badalwae
magar jo choT thi dil mein wahi mahsus hoti hai
jahan wo baiTh jae gir ke manzil hai wahi us ki
jise har gam par wamandgi mahsus hoti hai
kisi ki yaad ko har dam bhulae rakhta hun phir bhi
khaTakti dil mein nok-e-KHar si mahsus hoti hai
bayaban ki kashish ab le uDegi dil ke zarron ko
ki har har sans par waraftagi mahsus hoti hai
jahan dil zabt-e-gham se KHun ho jata hai sina mein
wahin kuchh ruh ko baalidgi mahsus hoti hai
agar sine mein dil rakhte ho tum to aaj batla do
tumhein bhi meri betabi kabhi mahsus hoti hai
wafur-e-talKH-kaami se ye uqda khul gaya aaKHir
jo hoti hai to gham mein zindagi mahsus hoti hai
koi jine ko samjhe maya-e-ishrat bura kya hai
mujhe to ek ibaadat zindagi mahsus hoti hai
ghazal se ai 'jigar' andaza kar meri tabiat ka
ghazal mein kaifiyat kuchh ruh ki mahsus hoti hai
(1001) Peoples Rate This