Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_833e1c29482daab80dbd2f3608a817d5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhe Aazad Hona Hai - Jeem Jazil Poetry In English - Darsaal

Mujhe Aazad Hona Hai

main apni zat ke zindan mein kab tak rahun tanha

sahun tanha main apne aap ko kab tak

bhala kab tak

udasi aur tanhai ke in be-zaiqa zaKHmon ko

paiham chaTta jaun

musalsal jagta jaun

ki habs-e-mustaqil mein zindagi karne se behtar hai

main apne KHol se bahar nikal aaun

kisi KHud-kush dhamaka karne wale se lipaT jaun

bikhar jaun

mere apne bhi to kuchh KHwab hain 'jazil'

jo meri nind ki wadi mein aane ki tamanna

dil mein rakhte hain

jo meri rah takte hain

mujhe KHwabon ko aankhon mein pirona hai

mujhe aazad hona hai

(1103) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Aazad Hona Hai In English By Famous Poet Jeem Jazil. Mujhe Aazad Hona Hai is written by Jeem Jazil. Read famous Poem Mujhe Aazad Hona Hai for youth and Student by Jeem Jazil. Free Download Mujhe Aazad Hona Hai in PDF.