Mujhe Yaqin Dila Haalat-e-guman Se Nikal
mujhe yaqin dila haalat-e-guman se nikal
gham-e-hayat ko baDhte hue ziyan se nikal
phir is ke baad jahan tu kahe guzarunga
bas ek bar zara karb-e-jism-o-jaan se nikal
main ain apne hadaf par lagunga, shart laga
zara sa khinch mujhe aur phir kaman se nikal
main apne jism ke andar na dafn ho jaun
mujhe wajud ke girte hue makan se nikal
main ek shoala-e-badmast hi sahi lekin
main jal raha hun mujhe mere darmiyan se nikal
ai Daliyon pe nae phal ugane wali dua
mere shajar ko bhi is haalat-e-KHizan se nikal
bula rahi hai tujhe bhi hawas ki shahzadi
tu apne aap ko is lamha-e-rawan se nikal
jise bahisht mein aadam ne chakh liya tha 'atib'
main kha raha hun wahi phal, mujhe yahan se nikal
(1581) Peoples Rate This