Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a59fa156126b10fb945df1983d67e8e4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gar Hamein Tera Sahaara Hai, KHuda Jaanta Hai - Jeem Jazil Poetry In English - Darsaal

Gar Hamein Tera Sahaara Hai, KHuda Jaanta Hai

gar hamein tera sahaara hai, KHuda jaanta hai

phir to har zulm gawara hai, KHuda jaanta hai

meri har rah guzarti hai tere kuche se

tu mera qutbi sitara hai, KHuda jaanta hai

zindagi tujh ko tere dard ke har ek pal ko

hum ne jis tarah guzara hai KHuda jaanta hai

baiTha rahta hai jahan hijr ka tanha aansu

meri aankhon ka kinara hai, KHuda jaanta hai

dil dhaDakta hai to uThti hain badan mein Tisen

ishq ne bandh ke mara hai, KHuda jaanta hai

(1651) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gar Hamein Tera Sahaara Hai, KHuda Jaanta Hai In English By Famous Poet Jeem Jazil. Gar Hamein Tera Sahaara Hai, KHuda Jaanta Hai is written by Jeem Jazil. Read famous Poem Gar Hamein Tera Sahaara Hai, KHuda Jaanta Hai for youth and Student by Jeem Jazil. Free Download Gar Hamein Tera Sahaara Hai, KHuda Jaanta Hai in PDF.