Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_463be302443fab905c07a1fe842785b8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Thakan Ki Gard Se KHush-rang AahaTon Mein Aa - Jazib Quraishi Poetry In English - Darsaal

Thakan Ki Gard Se KHush-rang AahaTon Mein Aa

thakan ki gard se KHush-rang aahaTon mein aa

adawaton ko bhula de mohabbaton mein aa

na-jaane kab se tera intizar hai mujh ko

ki nind toD ke be-KHwab raston mein aa

mere KHayal ke sae tere badan ke aks

pukarte hain mulaqat ki hadon mein aa

lipaT gai hai mere zehn se teri KHushbu

main jal raha hun ki barish ke mausamon mein aa

safar ki dhup pighal jaegi purani hai

gulab ban ke mahak meri dhaDkanon mein aa

bichhaDna hai to bichhaD ja tabassumon ke sath

jo mujh se pyar hai tujh ko to pattharon mein aa

jo shaKHs shola-e-jaan ban gaya numaish mein

tujhe na luT le wo meri dhaDkanon mein aa

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thakan Ki Gard Se KHush-rang AahaTon Mein Aa In English By Famous Poet Jazib Quraishi. Thakan Ki Gard Se KHush-rang AahaTon Mein Aa is written by Jazib Quraishi. Read famous Poem Thakan Ki Gard Se KHush-rang AahaTon Mein Aa for youth and Student by Jazib Quraishi. Free Download Thakan Ki Gard Se KHush-rang AahaTon Mein Aa in PDF.