Shikasta Aks Tha Wo Ya Ghubar-e-sahra Tha
shikasta aks tha wo ya ghubar-e-sahra tha
wo main nahin tha jo KHud apne ghar mein rahta tha
ajib shart-e-safar thi mere liye ki mujhe
siyah dhup mein raushan charagh rakhna tha
fasil-e-sang se mujh ko utarne aaya
wo ek sitara jo main ne kabhi na dekha tha
na jaane kaun se mausam mein ji raha tha main
ki meri pyas thi meri na mera dariya tha
shajar ki chhanw se bahar hai rizq tair ka
wo sahilon pe na Thahra kabhi jo pyasa tha
kise pukar raha tha mera adhura-pan
main garm ret pe taza gulab rakhta tha
hazar kam-suKHani darmiyan rahi phir bhi
wo mujh se aan mila tha to rang barsa tha
main bujh gaya to mere jism-o-jaan khule mujh par
charagh aur tha koi jo mujh mein jalta tha
wo apne ghar mein ujala na kar saka 'jazib'
tamam raat jo suraj ke KHwab rakhta tha
(1585) Peoples Rate This