Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_44e95291e6af196748e5eecf7f23d845, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sahra Mein Koi Saya-e-diwar To Dekho - Jazib Quraishi Poetry In English - Darsaal

Sahra Mein Koi Saya-e-diwar To Dekho

sahra mein koi saya-e-diwar to dekho

ai ham-safaro dhup ke us par to dekho

jalta hun andheron mein ki chamke koi chehra

mausam hain adawat ke magar pyar to dekho

daftar ki thakan oDh ke tum jis se mile ho

us shaKHs ke taza lab-o-ruKHsar to dekho

kyun mang rahe ho kisi barish ki duaen

tum apne shikasta dar-o-diwar to dekho

kal sham wo tanha tha samundar ke kinare

kya soch rahe ho koi aKHbar to dekho

aankhen hain ki zaKHmi hain badan hain ki shikasta

aashob-e-safar hun meri raftar to dekho

(1008) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahra Mein Koi Saya-e-diwar To Dekho In English By Famous Poet Jazib Quraishi. Sahra Mein Koi Saya-e-diwar To Dekho is written by Jazib Quraishi. Read famous Poem Sahra Mein Koi Saya-e-diwar To Dekho for youth and Student by Jazib Quraishi. Free Download Sahra Mein Koi Saya-e-diwar To Dekho in PDF.