Sahra Ki Dhup Mein Bhi Shajar Dekhte Rahe
sahra ki dhup mein bhi shajar dekhte rahe
kya log the dua ka asar dekhte rahe
hum apne jism-o-jaan ko KHizan mein utar kar
gulnar mausamon ke hunar dekhte rahe
barish ki aadaton ka badalna muhaal tha
jalte hue hum apne hi ghar dekhte rahe
jab bhi tere badan ki mahak ham-safar rahi
hum be-charagh shab mein sahar dekhte rahe
ek shahr-e-mah-washan tha ki aankhon ke sath tha
hum phir bhi teri rahguzar dekhte rahe
'jazib' mein tere pyar ki KHwahish shadid thi
'jazib' ko ahl-e-naqd-o-nazar dekhte rahe
(843) Peoples Rate This