Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_02e0b0f107f89a0f59988a854950a2b3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Lahje Mein Mere ZaKHm Ki Gahrai Hai - Jazib Quraishi Poetry In English - Darsaal

Mere Lahje Mein Mere ZaKHm Ki Gahrai Hai

mere lahje mein mere zaKHm ki gahrai hai

raushni raat ke aangan mein utar aai hai

phir mujhe pyar ke sahil pe Thaharna hoga

phir tere dil ke dhaDakne ki sada aai hai

dar-o-diwar pe kuchh aks utar aate hain

mere ghar mein ajab andaz ki tanhai hai

sirf phulon mein nahin hain tere chehre ke rang

mah-e-nau bhi teri Thahri hui angDai hai

wo saba sab jise aawara kaha karte hain

tere aanchal ki mahak mere liye lai hai

qahqaha-bar raho shola-e-gham se na Daro

warna is shahr-e-hunar mein baDi ruswai hai

(915) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Lahje Mein Mere ZaKHm Ki Gahrai Hai In English By Famous Poet Jazib Quraishi. Mere Lahje Mein Mere ZaKHm Ki Gahrai Hai is written by Jazib Quraishi. Read famous Poem Mere Lahje Mein Mere ZaKHm Ki Gahrai Hai for youth and Student by Jazib Quraishi. Free Download Mere Lahje Mein Mere ZaKHm Ki Gahrai Hai in PDF.