Jab Bhi Aata Hai Wo Mere Dhyan Mein
jab bhi aata hai wo mere dhyan mein
phul rakh jata hai roshan-dan mein
ghar ke baam-o-dar nae lagne lage
husn aisa tha mere mehman mein
tera chehra aaine ke samne
aur aaina nae imkan mein
aks tere teri KHushbu tere rang
bas yahi kuchh hai mere saman mein
jism-o-jaan ko taza mausam mil gae
jal gaya main tere aatish-dan mein
jo sitara parwarish pata raha
wo mila hai pyar ke rujhan mein
titliyan kamre ke andar aa gain
ek phul aisa bhi tha gul-dan mein
aandhiyon mein bhi uData hai mujhe
kaun hai ye mere jism-o-jaan mein
dhaDkanen teri hain be-awaz kyun
kya nahin hun main tere imkan mein
jab daraKHt angnaiyon ke kaT gae
dhup utar aai hai har dalan mein
ajnabi KHwabon ka surat-gar hun main
aur main gum hun teri pahchan mein
(950) Peoples Rate This