Ghubar-e-jaan Se Sitara Nikalna Chahta Hai

ghubar-e-jaan se sitara nikalna chahta hai

ye aasman bhi karwaT badalna chahta hai

mere lahu ka samundar uchhalna chahta hai

ye chand mere badan mein pighalna chahta hai

siyah dasht mein imakan-e-raushni bhi nahin

magar ye hath andhere mein jalna chahta hai

har ek shaKH ke hathon mein phul mahkenge

KHizan ka peD bhi kapDe badalna chahta hai

bahut kaThin hai ki sansen bhi bar lagti hain

mera wajud bhi nuqte mein Dhalna chahta hai

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghubar-e-jaan Se Sitara Nikalna Chahta Hai In English By Famous Poet Jayant Parmar. Ghubar-e-jaan Se Sitara Nikalna Chahta Hai is written by Jayant Parmar. Read famous Poem Ghubar-e-jaan Se Sitara Nikalna Chahta Hai for youth and Student by Jayant Parmar. Free Download Ghubar-e-jaan Se Sitara Nikalna Chahta Hai in PDF.