Shahr Ki Galiyan Charaghon Se Bhar Gain
raat ke aaKHiri pahar
main ne muqaddas fly ki sarhad pe
panw rakha
us ke sabz pairahan ki KHushbu
mere istiqbaal ke liye maujud thi
mere KHak-alud ghuTnon ne
zamin ki KHushbu-dar naf ko chhua
to main ne
apna malbus chaak kar Dala
wo papers ke jangalon ke shumali kinare pe baiThi
nil ke paniyon ko kat rahi thi
us ne mere KHak-alud chehre ko
nil ka aaina dikhaya
hum mutabarrik tel ke namkin charagh hatheliyon pe rakhe
shahr-e-panah ki taraf chal diye
jahan dewta
baryabi ke muntazir the
hamare qadmon ki aahaT pa kar
muqaddas phaTak ke sunahre kiwaD
zamin ke aaKHiri kinaron tak khul gae
aur shahar ki itr-bez galiyan
hamare talwe chumne lagin
hamare suron pe phaile
aasman ke safed waraq par
parindon ke liye harf imtinaa likha tha
hum KHudawand asar ki ziyarat-gah ke nawah mein pahunche
to dewta apna marqad chhoD kar
dahliz se aa laga
us ne apne dil ke chhed
narsale ki shaKH pe kunda kiye
aur apne KHubsurat lahn ki siDhi laga kar
dilon mein utar gaya
siyah mabad ke sunahre kalas ke sae mein
zaerin ka matami julus
dar-o-diwar pe
nauhe tastir kar raha tha
mere pahlu mein khaDi
sabz-fam aurat ne
mujhe dewtai malbus hadiya kiya
to main hatif ki bargah ki dahliz se lag kar
apna qasida
bhenT karne laga
muqaddas fly ki tarik galiyan
namkin charaghon se bhar gain
main ne aaKHiri misra
hatif ko dan kiya
aur sabz aurat ki nili aankhon mein
tahsin ki naqadi talash karne laga
us ne faslon pe karam karte hath se
hawa mein taraazu banaya
ek palDe mein
mera harf-e-hunar rakha
aur dusre mein
apne jamal ki naqadi
us ke jamal ka sabz dariya
mere daman mein bahne laga
(2552) Peoples Rate This