Wo Hatif Ki Zaban Mein Kalam Karne Lagi
ek sham
us ne mujhe apni panah-gah se bahar nikala
aur apne sarsabz bazuon ke shahtut se
kashti tayyar ki
kashti jis ne sab se pahle
dusra kinara ijad kiya tha
aasman par chand
aadhi masafat tai kar chuka
to wo mujhe apni nai kashti mein biTha kar
samundar ki tah mein utarne lagi
jahan us ne
apne KHwab chhupa rakkhe the
agli sham
wo mujhe erosion ke mabad mein mili
jis ke chaaron or
siyah jangal ki baDh thi
us mabad ko sara rome
ummid-bhari nazron se dekhta tha
main
hatif ke ghaib-danon ke liye
bhuna hawa gosht
KHushbu-dar masale
roghniyat
aur
zaitun ki taza shaKH thame
muqaddas ahate mein
panah-guzin hawa
use dekh kar
hatif ki ziyarat-gah ki diwar
shaq ho gai
(1673) Peoples Rate This