Maine Apna Wajud GaThDi Mein Bandh Liya
chauthi bar
bangal ki gati nadiya ke kinare
wo mujh par munkashif hoi
jahan sunahri machhliyan
nile suron ko biloti thin
aur raushni banTte peD kalam karte the
us ki sahar phunkti aankh ne
mujhe parinda banne ka hukm diya
main us ke shane ki hari shaKH par baiTh kar
apna lahn ijad karne laga
us ke hare badan ka saya
siwa neze pe tha
main ne us ke badan ke sae se
narm bichhauna taKHliq kiya
aur duniya ke chehre par thuk diya
ek tawil nind ke baad
main ne barahma ki tarah aankh kholi
us ka ghana saya
mere wajud par simaT raha tha
us ke laziz phalon mein
mere liye kaDwahaT rengne lagi
main ne apna reza reza wajud sameT kar
gaThDi mein bandha
qutub-numa ko
KHalij bangal ke KHat par rakh kar
panw se Thokar mari
aur hawa par panw rakhta hua
panchwen samt mein aage baDh gaya
main ne apne dil ko yaqin dilaya
ki us ki siskiyon ka muKHatab
main nahin tha
(1536) Peoples Rate This