Asatiri Nazm
aaKHiri bar
koh-e-nida ke us par
us ke sunahri wajud ki aayat
mere dil ke qirtas par
tastir hoi
main
sat sawalon ke jawab talash karta hua
is ajnabi sar-zamin par
utra tha
us ki sunahri naf ka pyala
KHutan se aai
kasturi se labrez tha
aur sine par
lala ke do phul khile the
raushni
us ke chehre ke KHadd-o-KHal taKHliq karne mein
masruf thi
wo
siyah pairahan pahne
hire ke taKHt ko
Thokar pe liye baiThi thi
us
ke pahlu mein
wafadar ghulam istada the
jin ke mohabbat se labrez dil
un ki hatheliyon pe dhaDakte the
main ne apni taza nazm
sandal ki chhaal par likh kar
use hadiya ki
meri nazm ke aaKHiri misre tak aate aate
us ka dil
aankhon se bah nikla
us ne hath baDha kar
raqs karte peD ka
sab se KHush-gulu parinda toD kar
meri hatheli par rakha
to us ke pahlu mein
ThaThen marta jawaharaat ka dariya
mere kushada daman mein bahne laga
main ne us ke dariya ko apne chullu mein bhara
aur farsh par thuk diya
tab us par ye raaz khula
ki main hi wo shair hun jis ne
nazm
aur
taqdir
ijad ki
(1447) Peoples Rate This