Zamin SimaT Kar Mere Talwe Se Aa Lagi
ai tin chehron mein
raushan peshani wale
tera naqsh
paedar aur qadim hai
tu ne safed baizawi zindan se
bahar panw rakha
to zamin tere istiqbaal ke liye
maujud na thi
tu ne narm lahje mein
napaid samton ko aawaz di
aur apne chaaron aur phailne laga
tu ne kanwal ki pattiyon se
bichhauna taKHliq kiya
aur apni zindagi ka awwalin KHwab dekhne laga
ek azim duniya ki taKHliq ka KHwab
tu ne hawaon ko kat kar
aasmanon ki chadar banai
aur khaulte samundaron ki gahrai se
zamin ko bahar nikal laya
tu ne chuTki-bhar raunaq
zamin ke chehre pe mil di
tu ne mere liye
surmai rang ka ghoDa taKHliq kiya
aur apne liye
safed bataKH
zamin
simaT kar mere talwe se aa lagi
to samundaron ki siyahat par
rawana ho gaya
ai azim bap
tere tirath ke muqaddas paniyon mein
taza jismon ke gulab mahakte hain
tu ne apne Dhak ke sabz patton se
zamin ke liye saya banaya
aur tanhai ka sikka
samundar mein baha diya
tu ne apne liye saraswati taKHliq ki
aur us ke pahlu se lipaT kar
duniya ki mismari ka KHwab dekhne laga
(1770) Peoples Rate This