Baadshah Teri Dahliz Ka Darban Hai
ashtar
ai aasmanon ki malika
baadshah teri dahliz ka darban hai
lagash
aur
aur
arj mein
tere nam ka sikka Dhalta hai
teri zulfen
zafar-mand lashkar ka pharera hain
aur
chehra
subh ke mashriq ka aasman
furaat ka chamakta pani
tera aaina hai
kunwariyan
tere muqaddas ahate mein
apni ismat ka sunahra sikka
bhenT karne aati hain
to minara-e-babul ki bulandi se
banjh zamin ke nam
bar-awri ka sandesa likhti hai
ai bahut se namon wali
teri hatheliyan
tere tamawwuz ke hathon ki garmi se dahakti hain
jis ke safed mabad ke sunahri kalas
meri aankhon ko KHira karte hain
tere matam-daron ke aaza-e-tanasul
teri bargah ka chaDhawa hain
azhdaha
tere panw ke tawazun pe marta hai
safed sher
tere sunahre rath ke ghoDe hain
tere sar par
par-dar bel ka saya hai
ai bar-awri ki dewi
tere qadmon ki aahaT se
murda zamin
naf tak dhaDak uThti hai
(1448) Peoples Rate This