Main Zer-e-lab Apna Shajra-e-nasab Dohra Raha Tha
chhaTi bar
wo dajla-o-furaat ke darmiyan
minara-e-babul ke sae mein
mujh par munkashif hoi
wo muqaddas minar ki satwin manzil par baiThi
aayat-dar-ayat bikhre sitaron ki
tilawat par mamur thi
wo ashtar ke mabad ke shumal mein sae banTte
baghat-e-muallaqa ko
bar-awari ki dua dene aai thi
us ka be-niyaz jism
un hathon ki na-rasai ko pahchanta tha
jo use chhune ki tamanna mein
zer-e-qaba jal rahe the
main ne do lashkaron ke darmiyan
apne dada ke rajaz mein kalam kiya
jis ki muTThi mein qabile ki aabru thi
mere aqab mein hare jismon wali aurten
aasmani daf ki lai par
maut ka tarana gane lagin
mera najibut-tarafain ghoDa
jis ka shajara
meri ungliyon ki poron par raqam tha
aur jise main apni aulad se bhi aziz jaanta tha
main ne us ki zin mein baiThne se inkar kiya
aur hawa par panw rakhta hua
dushman ke qalb-e-lashkar tak ja pahuncha
mujhe dekh kar
surmaon ki aankhen
naf tak phail gain
main zer-e-lab
apna shajra-e-nasab dohra raha tha
main ne apne panw mein bhagte KHun ko
mahmez di
aur apni zahr mein bujhi talwar
maidan-e-jang ke darmiyan gaD di
jis ke murassa daste par
zaitun ka akhuwa phuT paDa
main apni guzishta zindagi par
kaf-e-afsos malne laga
(2064) Peoples Rate This