Ab Ke Maidan Raha Lashkar-e-aghyar Ke Hath
ab ke maidan raha lashkar-e-aghyar ke hath
girwi us par paDe the mere salar ke hath
zehn is KHauf se hone lage banjar ki yahan
achchhi taKHliq par kaT jate hain meamar ke hath
ab sar-e-qarya-e-be-dast paDa hai kashkol
roz kaT jate the is shahr mein do-chaar ke hath
luT kuchh aisi machi shahr ka dar khulte hi
har taraf se nikal aae dar-o-diwar ke hath
hum sar-e-shaKH-e-sinan qarya-ba-qarya mahke
hum ne is jang mein sar jit liye haar ke hath
saya-sozi mein to hum log the suraj ke halif
ab hadaf Thahre ki jab jal gae ashjar ke hath
(915) Peoples Rate This