Na Sahi Aish, Guzara Hi Sahi
na sahi aish, guzara hi sahi
yani gar tu nahin duniya hi sahi
chhoDiye kuchh to mera bhi mujh mein
KHun ka aaKHiri qatra hi sahi
ghaur to kije meri baaton par
umr mein aap se chhoTa hi sahi
ranj hum ne bhi juda pae hain
aap yakta hain to yakta hi sahi
main bura hun to hun ab kya kije
koi achchha hai to achchha hi sahi
kis ko sine se lagaun tere baad
jate jate koi dhoka hi sahi
kar kuchh aisa ki tujhe yaad rakhun
bhul jaane ka taqaza hi sahi
tum pe kab rok thi chalte jate
meri sochon pe to pahra hi sahi
wo kisi taur na hoga mera
chalo aisa hai to aisa hi sahi
surKH karne lagi har shai 'jawwad'
yaad ka rang sunahra hi sahi
(1134) Peoples Rate This