Maula Kisi Ko Aisa Muqaddar Na Dijiyo
maula kisi ko aisa muqaddar na dijiyo
dilbar nahin to phir koi digar na dijiyo
apne sawal sahl na lagne lagen use
aate bhi hon jawab to far-far na dijiyo
chadar wo dijiyo use jis par shikan na aae
jis par shikan na aae wo bistar na dijiyo
aae na kar-e-shukr-guzari pe koi harf
jab dijiyo to zarf se baDh kar na dijiyo
bikhrao kuchh nahin bhi simaTte mere aziz
apne kisi KHayal ko paikar na dijiyo
tafriq rahne dijiyo tarif-o-tanz mein
ab ke sharab zahr mila kar na dijiyo
ya dil se tark kijiyo dastar ka KHayal
ya us muamle mein kabhi sar na dijiyo
kahiyo ki tu ne KHub banai hai kaenat
lekin use likhai ke number na dijiyo
mear se siwa yahan raftar chahiye
'jawwad' us ko aaKHiri ower na dijiyo
(1411) Peoples Rate This