Kahan HaTta Hai Nigahon Se HaTae Hae
kahan haTta hai nigahon se haTae hae
wahi manzar ki jise dekh na pae hae
kya pata sari tamannaen dhuan ho gai hon
kuchh nikalta hi nahin dil se siwae hae
yaad aati hui ek shakl pe allah allah
dil mein uThti hui har Tis pe hae hae
us gali ja ke bhi sajda na tumhein yaad raha
sirf nazren hi jhukae chale aae hae
sari mushkil hi nihan hai meri aasani mein
kaun ye KHasta si diwar girae hae
rose ek taza chilam bhar ke mujhe de farhad
aur phir qais mere panw dabae hae
dil ke bekar dhaDakne pe kahan KHush the miyan
hum to phule na samae ba-sada-e-hae
jab wo jae to mujhe kuchh bhi na bhae 'jawwad'
aur jab aae to kuchh aae na jae hae
(1188) Peoples Rate This