Gham-e-jahan Se Main Ukta Gaya To Kya Hoga
gham-e-jahan se main ukta gaya to kya hoga
KHud apni fikr mein ghulne laga to kya hoga
ye na-guzir hai ummid ki numu ke liye
guzarta waqt kahin tham gaya to kya hoga
yahi bahut hai ki hum ko sukun se jine de
kisi ke hathon hamara bhala to kya hoga
ye log meri KHamoshi pe mujh se nalan hain
koi ye puchhe main goya hua to kya hoga
main is liye bhi bahut muKHtalif hun logon se
wo sochte hain ki aisa hua to kya hoga
junun ki rah ajab hai ki panw dharne ko
zamin tak bhi nahin naqsh-e-pa to kya hoga
ye ek KHauf bhi meri KHushi mein shamil hai
tera bhi dhyan agar haT gaya to kya hoga
jo ho raha hai wo hota chala gaya to phir?
jo hone ko hai wahi ho gaya to kya hoga
(1256) Peoples Rate This