Arz-e-alam Ba-tarz-e-tamasha Bhi Chahiye
arz-e-alam ba-tarz-e-tamasha bhi chahiye
duniya ko haal hi nahin huliya bhi chahiye
ai dil kisi bhi tarah mujhe dastiyab kar
jitna bhi chahiye use jaisa bhi chahiye
dukh aisa chahiye ki musalsal rahe mujhe
aur us ke sath sath anokha bhi chahiye
ek zaKHm mujh ko chahiye mere mizaj ka
yani hara bhi chahiye gahra bhi chahiye
ek aisa wasf chahiye jo sirf mujh mein ho
aur us mein phir mujhe yad-e-tula bhi chahiye
rabb-e-suKHan mujhe teri yaktai ki qasam
ab koi sun ke bolne wala bhi chahiye
kya hai jo ho gaya hun main thoDa bahut KHarab
thoDa bahut KHarab to hona bhi chahiye
hansne ko sirf honT hi kafi nahin rahe
'jawwad-shaiKH' ab to kaleja bhi chahiye
(5409) Peoples Rate This