Jalwa-e-husn-e-azal Dida-e-bina Mujhse
jalwa-e-husn-e-azal dida-e-bina mujh se
jaane kya soch ke phir kar liya parda mujh se
gham se ehsas ka aaina jila pata hai
aur gham sikhe hai aa kar ye saliqa mujh se
raat phir jashn-e-charaghan ke liye manga tha
mauj-e-ehsas ne ek pyas ka shola mujh se
main ne mazlum ka bas nam liya tha logo
jaane kyun ho gaya barham wo masiha mujh se
meri KHwahish pe hai mauquf wajud-e-alam
aur hai mansub azal se ye karishma mujh se
dil hun main pyar bhara aur tu nazuk dhaDkan
dil ka tujh se hai magar dard ka rishta mujh se
bazm yaadon ki saji gosha-e-dil mein 'jawed'
phir wahi taza ghazal ka hai taqaza mujh se
(709) Peoples Rate This