Har Dil Jo Hai Betab To Har Ek Aankh Bhari Hai
har dil jo hai betab to har ek aankh bhari hai
insan pe sach-much koi uftad paDi hai
rah-rau bhi wahi aur wahi rahbari bhi
manzil ka pata hai na kahin rah mili hai
muddat se rahi farsh teri rahguzar mein
tab ja ke sitaron se kahin aankh laDi hai
aisa bhi kahin dekha hai mai-KHane ka dastur
har chashm hai labrez har ek jam tahi hai
ruKHsar-e-bahaaran pe chamakti hui surKHi
kahti hai ki gulshan mein abhi subh hui hai
samjha hai tu zarre ko faqat zarra-e-nachiz
chhoTi si ye duniya hai jo suraj se baDi hai
duniya mein koi ahl-e-nazar hi nahin baqi
kotah-nigahi hai teri kam-nazari hai
madhosh faza mast hawa hosh ki mat puchh
waraftagi-e-shauq hai ek gum-shudagi hai
kanTon pe chale hain to kahin phul khile hain
phulon se mile hain to baDi choT lagi hai
phir soch lo ek bar abhi waqt hai 'jawed'
shikwe mein kuchh andesha-e-KHatir-shikani hai
(717) Peoples Rate This