Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8d362deced077a1ba7b11dc8bd62a41d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sab Se BaDi Ghalati - Javed Shaheen Poetry In English - Darsaal

Sab Se BaDi Ghalati

aankhon ne mujhe dhoka diya

to main ne un mein

banjar mausamon ki salaiyan pher din

lafzon ne mujhe dhoka diya

to main ne zaban ko

chup ki qabr mein utar diya

KHayalon ne mujhe dhoka diya

magar main ne unhen maf kar diya

ye soch kar ki agar sab se

ek jaisa suluk karta raha

to mere sath kaun rah jaega

yahin main ne zindagi ki sab se baDi ghalati ki

KHayal mujhe shaeri se duniya ki taraf le gae

unhon ne mere peT par bhuk bandh di

aur phir ek roTi ke ewaz

mujhe qatl kara diya

(792) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Se BaDi Ghalati In English By Famous Poet Javed Shaheen. Sab Se BaDi Ghalati is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Sab Se BaDi Ghalati for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Sab Se BaDi Ghalati in PDF.