Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1d51adbbf7f28326eb6af36dbb8c2ac4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Maine Raat Se Pucha - Javed Shaheen Poetry In English - Darsaal

Maine Raat Se Pucha

main ne raat se pucha

mere ghar se chori ho jaane wala KHwab

tumhaare pas to nahin

mere ham-sae ke bachchon ka KHwab

gharon mein baiThi jawan laDkiyon ke KHwab

shahr se hijrat kar jaane wale sare KHwab

tumhaare pas to nahin?

raat meri aankhon mein jhank kar boli

itne sare KHwabon ka chori ho jaana

aur shor na machna

itne sare KHwabon ka qatl ho jaana

aur suragh na chalna

itni sari lashon ka dariya mein baha diya jaana

aur pani ka rang na badalna

kaise mumkin hai

tumhaari marzi ke baghair

tumhaari shirkat ke baghair

phir wo god mein uThaya hua chand

meri taraf baDha kar boli:

is ke sar par hath rakho

aur qasam khao

apni be-gunahi ki

apni masumiyat ki

aur main us ka munh takta rah gaya

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maine Raat Se Pucha In English By Famous Poet Javed Shaheen. Maine Raat Se Pucha is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Maine Raat Se Pucha for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Maine Raat Se Pucha in PDF.