KhunTi Par LaTka Hua Badan
sham hote hi main
pasine mein bhiga hua badan
khunTi se laTka deta hun
din bhar ki kamai dekhne ke liye
jeben TaTolta hun to KHali hath
jebon se bahar gir paDte hain
sochta hun
pachas se upar ka ho chuka hun
mera mustaqbil kya hoga
aane wali nasl ko kya munh dikhaunga
pasine mein bhiga hua badan
dhone se Darta hun
ki aane wale meri mehnat ki nishani mangenge
to kya dikhaunga
khunTi par laTka hua badan
sari raat mujhe ghurta rahta hai
KHali hath
chaarpai ke niche paDe rahte hain
subh hone par
badan khunTi se utarta hun
hath chaarpai ke niche se uThata hun
darwaza kholta hun
din apni puri saffaki ke sath
ek bar phir mere muqabil khaDa hota hai
(813) Peoples Rate This