Ek Kaifiyat
dhund ke darmiyan muallaq dinon mein
KHushk lamhe mere andar girte rahte hain
aur dil ko bhar dete hain
main qadam dharne se Darta hun
sochta hun
kahin kuchh TuT na jae
aur aaram ki KHwahish-mand hawa
nind se jag na jae
lambi faraghaton mein
aasman ki KHali nilahaTon ko
gard se bharte dekhta rahta hun
ek jaise manazir
farar ki KHwahish mein
chaaron taraf dekhte rahte hain
chor raste talash karte rahte hain
sham hone se pahle hi
sardi ke tez reze
badan mein utarne lagte hain
hawa ki ghair-maujudagi mein
bikhre hue KHushk lamhon ko
KHud hi jama karta hun
un se aag raushan karta hun
ghair-mahfuz raaton mein jagne ke liye
zinda rahne ke liye
(898) Peoples Rate This