AaKHiri Nazm
biwi mujh se kahti hai
sara din leTe rahne
aur nazmen likhne se
ghar kaise chalega
nazmen roTiyan to nahin
ki bachchon ka peT bhar saken
tum to apna peT
shaeri ki talwar se kaT kar
mustaqbil ki khunTi se laTka chuke ho
lekin hamare peT itne shairana nahin
sochta hun
biwi Thik kahti hai
nazmen to ghaib se utar aati hain
lekin roTiyan ghaib ke tannur mein nahin paktin
waise bhi shaeri ko zinda rakhne ke liye
peT par roTi bhandhni zaruri hai
lekin main use darKHwast karunga
wo mujhe ek nazm aur likh lene de
aaKHiri nazm
jis mein aane wali kal ke liye
koi tarif nahin hogi
jis mein guzar jaane wali kal ke liye
koi pachhtawa nahin hoga
jis mein aaj ke kisi dukh ka
matam nahin hoga
har lihaz se mukammal nazm
(902) Peoples Rate This