Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b017bc80320907e1605aa12770c8bccc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
AaKHiri Harba - Javed Shaheen Poetry In English - Darsaal

AaKHiri Harba

in dinon mere andar ghamsan ka ran paD raha hai

apne KHilaf apna hi difaa kar raha hun

jang mein har harba jaez hota hai

main ne ek bahadur ki manind

ochha hathiyar istimal na karne ka faisla kiya tha

lekin junhi mere gird hisar tang hone lagta hai

meri zirah-baktar ke halqe TuTne lagte hain

aur bachao ke har raste par

TikTiki dikhai deti hai

to main koi na koi ochha hathiyar

istimal karne par majbur ho jata hun

kisi sarkash KHayal ke peT mein

chupke se KHanjar utar deta hun

kisi gustaKH jazbe ko

mufahamat ke bahane bula kar

diwar mein chun deta hun

main jaanta hun

mere difaa mein

shigaf paD chuke hain

lekin mera irada

aaKHir tak DaTe rahne ka hai

phir tamam rahen masdud pa kar

aaKHiri harba istimal karunga

apni maut ka elan is tarah karunga

jaise main nahin

mera dushman mara ho

(949) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHiri Harba In English By Famous Poet Javed Shaheen. AaKHiri Harba is written by Javed Shaheen. Read famous Poem AaKHiri Harba for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download AaKHiri Harba in PDF.