ZaKHm Koi Ek BaDi Mushkil Se Bhar Jaane Ke Baad
zaKHm koi ek baDi mushkil se bhar jaane ke baad
mil gaya wo phir kahin dil ke Thahar jaane ke baad
main ne wo lamha pakaDne mein kahan taKHir ki
sochta rahta hun ab us ke guzar jaane ke baad
kaisa aur kab se talluq tha hamara kya kahun
kuchh nahin kahne ko ab us ke mukar jaane ke baad
mil raha hai subh ke tare se jata mahtab
raat ke tarik zine se utar jaane ke baad
kya karun aaKHir chalana hai mujhe kar-e-jahan
jama KHud ko kar hi leta hun bikhar jaane ke baad
zaKHm ek aisa hai jis par kaam ab karta nahin
waqt ka marham zara sa kaam kar jaane ke baad
chup hain yun chizen ki khul kar sans bhi leti nahin
jaise ek sadme ki haalat mein hun Dar jaane ke baad
hain nawah-e-dil mein 'shahin' kuchh nashebi bastiyan
Dubta rahta hun un mein pani bhar jaane ke baad
(808) Peoples Rate This