Ye Jo Tanhai Mili Aankh Mein Dharne Ke Liye
ye jo tanhai mili aankh mein dharne ke liye
is mein ek dasht bhi hai mere guzarne ke liye
jama karti hai mujhe raat bahut mushkil se
subh ko ghar se nikalte hi bikharne ke liye
panw se lipTi mili sari ki sari ye zamin
ye falak pura mila aankh mein dharne ke liye
aur phir karna paDa gosht ko naKHun se juda
ye zaruri tha kisi zaKHm ko bharne ke liye
thi wo ek tez hawa uncha mujhe le aai
ab zamin tang si lagti hai utarne ke liye
baat kaisi bhi ho pal bhar ki nadamat ke siwa
KHarch aata hai bhala kitna mukarne ke liye
aur phir aisa hua samne mere 'shahin'
jhuT ke panw nikal aae Thaharne ke liye
(805) Peoples Rate This