Ye Jaan-gudaz Safar Dam-e-KHwab Ho Na Kahin
ye jaan-gudaz safar dam-e-KHwab ho na kahin
rawan hai jis mein safina sarab ho na kahin
yun hi utarta na ja sard gahre pani mein
chamakta hai jo bahut sehr-e-ab ho na kahin
khaDa jo jhankta hai kab se garm kamron mein
gali mein ThiThura hua mahtab ho na kahin
hawa ye kaun si chalti hai aar-par mere
khula hua kisi KHwahish ka bab ho na kahin
dilon pe kyun nahin kartin asar teri baaten
zamin to Thik hai pani KHarab ho na kahin
ghubar se bhari bojhal faza hai dil pe muhit
garaj raha hai jo sar mein sahab ho na kahin
sajae phirta hai wo jis ko coat par 'shahin'
mere hi KHun ka mahakta gulab ho na kahin
(741) Peoples Rate This