Tayyar Bahut Mauj Rawani Ke Liye Hai
tayyar bahut mauj rawani ke liye hai
lekin koi mushkil kahin pani ke liye hai
logon ne agar mujh pe yahan tang zamin ki
ek aur jagah naql-e-makani ke liye hai
is bab-e-jahan mein ye tera harf-e-shab-o-roz
mohtaj bahut apne maani ke liye hai
jis shahr ka ifraat-e-mohabbat mein tha shohra
mashhur ab us shai ki girani ke liye hai
sunte hue sone pe jo aaega zamana
ek moD mere pas kahani ke liye hai
jalte hue dekha hai kahin sham-e-hawa ko
kafi ye mujhe us ki nishani ke liye hai
jaana hai kahan us ne kisi shaKH se jhaD kar
aawargi hi barg-e-KHizani ke liye hai
begar bana Dala hai ek yaad ko tu ne
ye kaam kisi sham suhani ke liye hai
ye khoj jo har dar pe liye phirti hai 'shahin'
ek ghar mein kisi shakl purani ke liye hai
(707) Peoples Rate This