Samajh Raha Hai Zamana Riya Ke Pichhe Hun
samajh raha hai zamana riya ke pichhe hun
main ek aur tarah se KHuda ke pichhe hun
kahin kahin se zyaada siyah hai mera badan
bahut hi kali hai jo is hawa ke pichhe hun
ye aa rahi hai kahan se samajh nahin aati
bahut hi bhed bhari ek sada ke pichhe hun
teri banai hui fard-e-jurm kahti hai
ki jaise main hi yahan har KHata ke pichhe hun
zara sa dekh lun phir pura khinch lunga use
azal se hi main kisi kam-numa ke pichhe hun
hai kuchh ghalat sa meri hi sarisht mein 'shahin'
main KHud hi apni har ek ibtila ke pichhe hun
(733) Peoples Rate This