Safar Ka KHwab Tha Aab-e-rawan Pe Rakkha Tha
safar ka KHwab tha aab-e-rawan pe rakkha tha
koi sitara khule baadban pe rakkha tha
bhula gaya hai mujhe guftugu ke sare maze
bas ek lafz tha pal bhar zaban pe rakkha tha
wo ek KHak sa manzar bas ab bahut hai mujhe
uTha ke jo kabhi qirtas-e-jaan pe rakkha tha
main kya gaya ki hua KHushk chashma-e-mahtab
abhi to pahla qadam aasman pe rakkha tha
usi ko 'shahin' muqarrar kiya hai ja-e-visal
kanara-e-shab-e-hijran jahan pe rakkha tha
(712) Peoples Rate This