RaKHt-e-safar Ko Khol Kar Ab Hun Qayam Ke Qarib
raKHt-e-safar ko khol kar ab hun qayam ke qarib
dhup ke dasht se pare qariya-e-sham ke qarib
shaKH se khinch kar mujhe lai hai bhuk KHak par
rizq uThaun kis tarah rakkha hai dam ke qarib
puchha jo main ne kaun hai hurmat-e-lafz ka amin
us ne kaha ye bojh hai tere hi nam ke qarib
ye din jo pura wast se hai mere ghar ke sehn mein
is ki sahar hai dar ke pas sham hai baam ke qarib
ye jo hain zard saaten sabza hai un ki nok par
ye jo safed chup si hai ab hai kalam ke qarib
kitni imaraten khaDi ki hain hawa ko khod kar
'shahin' ye kaam to nahin phir bhi hai kaam ke qarib
(809) Peoples Rate This