Naya KHayal Kabhi Yun Dimagh Mein Aaya
naya KHayal kabhi yun dimagh mein aaya
ki shola chalta hua KHud charagh mein aaya
badan pe us ke thi shoKHi bhari qaba-e-bahaar
wo ek bagh ke ham-rah bagh mein aaya
pareshan tangi-e-ja se hai garche dud bahut
ye kam hai dagh ka sarmaya dagh mein aaya
kisi ne Dal diya shak kisi gae kal par
main muD ke haal se us ke suragh mein aaya
main sochta tha use kya bhula bhi paunga
magar ye kaam baDe hi faragh mein aaya
wufur-e-garmi-e-andesha ne KHarab kiya
ki baal tundi-e-mai se ayagh mein aaya
akela ghumta phirta raha main dariya par
wahan se sham Dhale ek bagh mein aaya
qarib-e-aKHir-e-shab KHatm ho gai mahfil
aur is ke sath dhuan bhi charagh mein aaya
wo mere sath tha jab tak to Thik tha 'shahin'
futur baad mein us ke dimagh mein aaya
(780) Peoples Rate This