Meri Kar-gahh-e-dil Mein Abhi Kaam Hai Zyaada
meri kar-gahh-e-dil mein abhi kaam hai zyaada
koi chiz ek jagah se zara KHam hai zyaada
kisi manzar-e-shafaq ko kahan aankh mein jagah dun
mere KHun-e-dil se rangin meri sham hai zyaada
ghaDi-bhar Thaharne wale zara ye KHayal rakhna
ye jo saya-e-shajar hai koi dam hai zyaada
mera mashwara yahi hai isi raste se jaana
baDa saf hai agarche kai gam hai zyaada
paDe hain bahut se mere abhi kaam na-mukammal
koi bojh jate din par sar-e-sham hai zyaada
koi jurm dusre ka mera ban gaya hai kaise
teri fard-e-jurm mein kyun mera nam hai zyaada
kabhi kucha-e-talab mein kabhi rah-e-zar-gari par
tera kar-e-husn ab kuchh sar-e-am hai zyaada
teri aankh mein jo 'shahin' labaalab bhara hua hai
kisi ek taraf se KHali wahin jam hai zyaada
(741) Peoples Rate This