Mauja-e-dard Se Jismon Mein Rawani De Ja
mauja-e-dard se jismon mein rawani de ja
KHushk dariyaon nadi nalon ko pani de ja
kuchh to samjha de tilismat-e-shab-o-roz mujhe
in hisaron mein koi bab-e-maani de ja
zulmat-e-habs dil-o-jaan mein jala shama hua
tu kahin hai to mujhe apni nishani de ja
main subuk-sair sahi mujh ko tu pur-KHas na bana
in hawaon mein mujhe thoDi girani de ja
na-mukammal hai koi bab-e-chaman jin ke baghair
qissa-e-gul ke wo auraq-e-KHizani de ja
kab se be-ab hain aaine meri aankhon ke
un nae chehron mein kuchh shaklen purani de ja
aag barsate hue din ki haden bandh kabhi
garm shamon mein koi sham suhani de ja
har ghaDi dil se gurezan hain umiden 'shahin'
in makinon ko zara shauq-e-makani de ja
(709) Peoples Rate This