Main Ki Tanha Etibar-e-zat Khone Se Hua

main ki tanha e'tibar-e-zat khone se hua

jo hua wo dil mein shak ka bij bone se hua

ek zara se dagh-e-ruswai ka itna phailna

aisa daman ko kisi jaldi mein dhone se hua

main ne dekha hai chaman se ruKHsat-e-gul ka saman

sab se pahle rang maddham ek kone se hua

main hi banta hun fasad-e-ab-o-gil ka har sabab

kis qadar nuqsan mera mere hone se hua

ek hangama hua jo raat ke aiwan mein

raushni ka KHar-e-zulmat mein chubhone se hua

kya bataun kis tarah jata raha zad-e-safar

ye ziyan bas ek pal raste mein sone se hua

sar pe hi rahta agar to sar ka bachna tha muhaal

bojh mera kam ise har aan dhone se hua

zindagi ghisti rahi 'shahin' basar hone ke sath

pairahan ka rang phika roz dhone se hua

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Ki Tanha Etibar-e-zat Khone Se Hua In English By Famous Poet Javed Shaheen. Main Ki Tanha Etibar-e-zat Khone Se Hua is written by Javed Shaheen. Read famous Poem Main Ki Tanha Etibar-e-zat Khone Se Hua for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download Main Ki Tanha Etibar-e-zat Khone Se Hua in PDF.