KHatra Sa Kahin Meri Ikai Ke Liye Hai
KHatra sa kahin meri ikai ke liye hai
har lamha yahan KHud se judai ke liye hai
ek hath ko kuchh karne ki aadat nahin Dali
jo dusra hai sirf gadai ke liye hai
har shaKHs ki hai sham se apni koi nisbat
mere liye to din se rihai ke liye hai
din sara guzar jata hai ek duri mein KHud se
aur sham kisi aur judai ke liye hai
mauqa hai ki ehsan koi us ka chuka dun
ek lamha mere pas burai ke liye hai
hai kaun jhaTak de jo kisi dast-e-jafa ko
ye KHalq-e-KHuda sirf duhai ke liye hai
ab KHun ko banana hai tere honT ki surKHi
bach jaega jo dast-e-hinai ke liye hai
tohmat si koi KHud pe laga rakkhi hai 'shahin'
ek dagh sa angusht-numai ke liye hai
(818) Peoples Rate This